Shayari
vo mujh ko dekhne mere qarib aayaa hai
ye dhund saare mahinon mein kyuun nahin paDti
kaamyaabi ki duaaein mujhe dene vaale
main tire ishq mein naakaam huaa jaataa huun
کامیابی کی دعائیں مجھے دینے والے
میں ترے عشق میں ناکام ہوا جاتا ہوں
कामयाबी की दुआएँ मुझे देने वाले
मैं तिरे इश्क़ में नाकाम हुआ जाता हूँ

vo mujh ko dekhne mere qarib aayaa hai
ye dhund saare mahinon mein kyuun nahin paDti
main chaah kar bhi use kuchh na de sakaa 'haaris'
vo bhaav puchh ke meri dukaan se lauT gayaa
yaani darvaaza bhi ik ism hai jis ko paDh kar
log divaar ke andar se guzaare jaaein
pahle ki baat aur hai jab dil mein the muqim
ab tum ragon mein dauDte ho khuun ki tarah
falak pe bhiiD lagi thi shikasta aahon ki
duaa se pahle mujhe raasta banaanaa paDaa
tumhaari yaad ki shiddat mein bahne vaalaa ashk
zamin mein bo diyaa jaae to aankh ug aae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ai dil-e-shikva-sanj kyaa guzri
kis liye honT rah gae sil ke
ab kyaa milein kisi se kahaan jaaein ham'nizaam'
ham vo nahin rahe vo mohabbat nahin rahi
dushman se aur hotin bahut baatein pyaar ki
shukr-e-khudaa ye hai ki vo but kam-sukhan huaa
chakh liyaa us ne pyaar thoDaa saa
aur phir zahr kar diyaa hai mujhe