Shayari
na vo iqraar kartaa hai na vo inkaar kartaa hai
hamein phir bhi gumaan hai vo hamin se pyaar kartaa hai
ye us ke pyaar ki baatein faqat qisse puraane hain
bhalaa kachche ghaDe par kaun dariyaa paar kartaa hai
یہ اس کے پیار کی باتیں فقط قصے پرانے ہیں
بھلا کچے گھڑے پر کون دریا پار کرتا ہے
ये उस के प्यार की बातें फ़क़त क़िस्से पुराने हैं
भला कच्चे घड़े पर कौन दरिया पार करता है

na vo iqraar kartaa hai na vo inkaar kartaa hai
hamein phir bhi gumaan hai vo hamin se pyaar kartaa hai
kabhi kitaabon mein phuul rakhnaa kabhi darakhton pe naam likhnaa
hamein bhi hai yaad aaj tak vo nazar se harf-e-salaam likhnaa
thaa jo ek lamha visaal kaa vo riyaaz thaa kai saal kaa
vahi ek pal mein guzar gayaa jise umr guzri pukaarte
ab us se baDh ke bhalaa mo'tabar kahein kis ko
zamaana us kaa hai maazi-o-haal us ke hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kaamyaabi ki duaaein mujhe dene vaale
main tire ishq mein naakaam huaa jaataa huun
adaavaton mein jo khalq-e-khudaa lagi hui hai
mohabbaton ko koi bad-duaa lagi hui hai
ai mohabbat mujh ko aisaa hausla khairaat kar
us ko baazu se pakaD kar kah sakun ki baat kar
dimaagh ahl-e-mohabbat kaa saath detaa nahin
use kaho ki vo dil ke kahe mein aa jaae