Shayari
hamaare aansu kisi Thikaane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib paani kaa kyaa banegaa
na mere paas tasalli na us ke paas aansu
khudaa ke saamne bebas khaDe hain ham donon
نہ میرے پاس تسلی نہ اس کے پاس آنسو
خدا کے سامنے بے بس کھڑے ہیں ہم دونوں
न मेरे पास तसल्ली न उस के पास आँसू
ख़ुदा के सामने बेबस खड़े हैं हम दोनों

hamaare aansu kisi Thikaane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib paani kaa kyaa banegaa
tumhaari aankhon pe nazm kahne se pahle ham ne bhigoi aankhein
sunaa huaa thaa zamin nam ho to achchhi hoti hai kaasht-kaari
ham aise log zaaea ho rahe hain
khudaa chup-chaap dekhe jaa rahaa hai
us ke meaar par khudaa laae
us nazar tak to aa gae hain ham
sitaare dekhne vaale hamein bataate hain
hamaare honT tumhaari jabin ko tarseinge
ye saath gaanv mein ek chhoTaa saa kaam hai bas
miri udaasi udaas mat ho main aa rahaa huun
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jal thal kaa khvaab thaa ki kinaare Dubo gayaa
tanhaa kanval bhi jhiil se baahar nikal paDaa
is Dar se rok rakkhe hain aansu 'said' ne
aanchal na bhiig jaae kisi gul-jabin kaa