Shayari
mai-kashi mein rakhte hain ham mashrab-e-durd-e-sharaab
jaam-e-mai chaltaa jahaan dekhaa vahaan par jam gae
taa-abad khaali rahe yaa-rab dilon mein us ki jaa
jo koi laave mire ghar us ke aane ki khabar
تا ابد خالی رہے یارب دلوں میں اس کی جا
جو کوئی لاوے مرے گھر اس کے آنے کی خبر
ता-अबद ख़ाली रहे या-रब दिलों में उस की जा
जो कोई लावे मिरे घर उस के आने की ख़बर

mai-kashi mein rakhte hain ham mashrab-e-durd-e-sharaab
jaam-e-mai chaltaa jahaan dekhaa vahaan par jam gae
main 'hasrat' mujtahid huun but-parasti ki tariqat kaa
na puchho mujh ko kaisaa kufr hai islaam kyaa hogaa
ham na jaanein kis taraf kaaba hai aur kidhar hai dair
ek rahti hai yahi us dar pe jaane ki khabar
zaahidaa kis husn-e-gandum-e-gun pe hai teri nigaah
aaj tu meri nazar mein guna-e-aadam lagaa
saugand hai hasrat mujhe ejaaz-e-sukhan ki
ye sehr hain jaadu hain na ashaar hain tere
bhar ke nazar yaar na dekhaa kabhi
jab gayaa aankh hi bhar kar gayaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
raaz-e-nihaan zabaan-e-aghyaar tak na pahunchaa
kyaa ek bhi hamaaraa khat yaar tak na pahunchaa
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki