Shayari
ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
tu ne vahdat ko kar diyaa kasrat
kabhi tanhaa nazar nahin aataa
تو نے وحدت کو کر دیا کثرت
کبھی تنہا نظر نہیں آتا
तू ने वहदत को कर दिया कसरत
कभी तन्हा नज़र नहीं आता

ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
hai ye purab ki zabaan-daani 'mehr'
kahte hain baat ko ham suntaa huun
kaabe mein ham ko dair kaa har dam khayaal thaa
allaah jaantaa hai buton kaa rahaa lihaaz
dar-ba-dar maaraa-phiraa main justuju-e-yaar mein
zaahid-e-kaaba huaa rahbaan-e-but-khaana huaa
ye hind hai ai 'mehr' yahaan puuj buton ko
kyuun barahman-e-dair-o-kalisaa nahin honaa
gul baang thi gulon ki hamaaraa taraana thaa
apnaa bhi is chaman mein kabhi aashiyaana thaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khaDaa huaa huun sar-e-raah muntazir kab se
ki koi guzre to gham kaa ye bojh uThvaa de
sadaa kise dein 'naimi' kise dikhaaein zakhm
ab itni raat gae kaun jaagtaa hogaa
zaraa ai josh-e-gham rahne de qaabu mein zabaan meri
vo sunnaa chaahte hain khud mujhi se daastaan meri