Shayari
maujud mere dil mein jo zakhmon ke daagh hain
vo ek bevafaa ke sitam ke charaagh hain
gharib shakhs ko miltaa nahin kisi bhi tarah
ye ishq ho gayaa sarkaari naukri ki tarah
غریب شخص کو ملتا نہیں کسی بھی طرح
یہ عشق ہو گیا سرکاری نوکری کی طرح
ग़रीब शख़्स को मिलता नहीं किसी भी तरह
ये इश्क़ हो गया सरकारी नौकरी की तरह

maujud mere dil mein jo zakhmon ke daagh hain
vo ek bevafaa ke sitam ke charaagh hain
maza to jab hai ki dil kaa andheraa miT jaae
gharon mein laakh charaaghaan kiyaa kare koi
sirf rishta nahin ek ehsaas hai
duur ho kar bhi maan to mire paas hai
kuchh aur de na paae zamaane ko ham 'hilaal'
paighaam-e-amn deinge isi shaaeri se ham
jab chhuaa hogaa us ne phulon ko
hosh khushbu ke uD gae honge
tumhaare saamne jazbaat saare khol saktaa huun
jo sunnaa chaahte ho tum main vo bhi bol saktaa huun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai