Shayari
us ke chehre ki chamak ke saamne saada lagaa
aasmaan pe chaand puuraa thaa magar aadhaa lagaa
kaTi hai umr kisi aabdoz kashti mein
safar tamaam huaa aur kuchh nahin dekhaa
کٹی ہے عمر کسی آب دوز کشتی میں
سفر تمام ہوا اور کچھ نہیں دیکھا
कटी है उम्र किसी आबदोज़ कश्ती में
सफ़र तमाम हुआ और कुछ नहीं देखा

us ke chehre ki chamak ke saamne saada lagaa
aasmaan pe chaand puuraa thaa magar aadhaa lagaa
agarche phuul ye apne liye kharide hain
koi jo puchhe to kah dungaa us ne bheje hain
is qadar bhi to na jazbaat pe qaabu rakkho
thak gae ho to mire kaandhe pe baazu rakkho
hazaar talkh hon yaadein magar vo jab bhi mile
zabaan pe achchhe dinon kaa hi zaaiqa rakhnaa
taaq par juzdaan mein lipTi duaaein rah gaiin
chal diye beTe safar par ghar mein maaein rah gaiin
mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare
kab main kahtaa huun mujhe pyaar hi kartaa jaae
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
ham dil fidaa karein ki tasadduq-e-jigar karein
jo bhi kahein huzur vahi umr bhar karein
buland aavaaz se ghaDiyaal kahtaa hai ki ai ghaafil
kaTi ye bhi ghaDi tujh umr se aur tu nahin chetaa
ai khudaa aasudgi kaa ek lamha mere naam
umr guzri hai miri khadshaat ki dahliz par