Shayari
us ke chehre ki chamak ke saamne saada lagaa
aasmaan pe chaand puuraa thaa magar aadhaa lagaa
hazaar talkh hon yaadein magar vo jab bhi mile
zabaan pe achchhe dinon kaa hi zaaiqa rakhnaa
ہزار تلخ ہوں یادیں مگر وہ جب بھی ملے
زباں پہ اچھے دنوں کا ہی ذائقہ رکھنا
हज़ार तल्ख़ हों यादें मगर वो जब भी मिले
ज़बाँ पे अच्छे दिनों का ही ज़ाइक़ा रखना

us ke chehre ki chamak ke saamne saada lagaa
aasmaan pe chaand puuraa thaa magar aadhaa lagaa
agarche phuul ye apne liye kharide hain
koi jo puchhe to kah dungaa us ne bheje hain
is qadar bhi to na jazbaat pe qaabu rakkho
thak gae ho to mire kaandhe pe baazu rakkho
kaTi hai umr kisi aabdoz kashti mein
safar tamaam huaa aur kuchh nahin dekhaa
taaq par juzdaan mein lipTi duaaein rah gaiin
chal diye beTe safar par ghar mein maaein rah gaiin
mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare
kab main kahtaa huun mujhe pyaar hi kartaa jaae
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
manzil pe nazar aai bahut duri-e-manzil
be-saakhta aane lage sab raah-numaa yaad
zakhm risne lagaa hai phir shaayad
yaad us ne kiyaa hai phir shaayad
us ko bhule to hue ho 'faani'
kyaa karoge vo agar yaad aayaa
siine mein aabaad hamesha rahti hai
pahli mohabbat yaad hamesha rahti hai
pichhe chhuTe saathi mujh ko yaad aa jaate hain
varna dauD mein sab se aage ho saktaa huun main