Shayari
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
I
Imdad Ali Bahrkhush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
خوش رہو یار اگر ہم سے ہو بیزار بہت
دل اگر اپنا سلامت ہے تو دل دار بہت
ख़ुश रहो यार अगर हम से हो बेज़ार बहुत
दिल अगर अपना सलामत है तो दिलदार बहुत
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa
mire haath kaa paan khaayaa to hotaa
ham na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aakhir rukaavaT dekhiye
mire baghair na ik-dam use qaraar aataa
zaraa bhi zabt jo mujh be-qaraar mein hotaa
na mohabbat hai dilon mein na hayaa aankhon mein
ye sanam tu ne banaae hain khudaayaa kaise
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
pyaar ki baatein kijiye saahab
lutf sohbat kaa guftugu se hai
kyunkar baDhaaun rabt na darbaan-e-yaar se
aakhir koi to milne ki tadbir chaahiye
hamaare marg pe shaadi abas aghyaar karte hain
jahaan se rafta-rafta ek din un ko bhi jaanaa hai
vaqt jab aaya to sab daave zabaani nikle
yaar samjhe the jinhein dushman-e-jaani nikle
hai dil mein zulf-e-yaar ke aalam ko dekhiye
phanste hain aap daam mein ham ham ko dekhiye