Shayari
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
I
Imdad Ali Bahrzaalim hamaari aaj ki ye baat yaad rakh
itnaa bhi dil-jalon kaa sataanaa bhalaa nahin
ظالم ہماری آج کی یہ بات یاد رکھ
اتنا بھی دل جلوں کا ستانا بھلا نہیں
ज़ालिम हमारी आज की ये बात याद रख
इतना भी दिल-जलों का सताना भला नहीं
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
khush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa
mire haath kaa paan khaayaa to hotaa
ham na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aakhir rukaavaT dekhiye
mire baghair na ik-dam use qaraar aataa
zaraa bhi zabt jo mujh be-qaraar mein hotaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ik yaad ki maujudgi sah bhi nahin sakte
ye baat kisi aur se kah bhi nahin sakte
bosa-e-khaal-e-lab-e-jaanaan ki kaifiyyat na puchh
nashsha-e-mai se ziyaada nashsha-e-afyun huaa
sayyaad ke jigar mein kare thaa sinaan kaa kaam
murgh-e-qafas ke sar pe ye ehsaan-e-naala thaa
shaam hote hi khuli saDkon ki yaad aati hai
sochtaa roz huun main ghar se nahin niklungaa