Shayari
is ashk o aah mein saudaa bigaD na jaae kahin
ye dil kuchh aab-rasida hai kuchh jalaa bhi hai
chashm-e-tar par gar nahin kartaa havaa par rahm kar
de le saaqi ham ko mai ye abr-e-baaraan phir kahaan
چشم تر پر گر نہیں کرتا ہوا پر رحم کر
دے لے ساقی ہم کو مے یہ ابر باراں پھر کہاں
चश्म-ए-तर पर गर नहीं करता हवा पर रहम कर
दे ले साक़ी हम को मय ये अब्र-ए-बाराँ फिर कहाँ

is ashk o aah mein saudaa bigaD na jaae kahin
ye dil kuchh aab-rasida hai kuchh jalaa bhi hai
kyaa badan hogaa ki jis ke kholte jaame kaa band
barg-e-gul ki tarah har naakhun moattar ho gayaa
misr mein husn ki vo garmi-e-baazaar kahaan
jins to hai pe zulekhaa saa kharidaar kahaan
umr fariyaad mein barbaad gai kuchh na huaa
naala mashhur ghalat hai ki asar kartaa hai
dosti bad balaa hai is mein khudaa
kisi dushman ko mubtalaa na kare
khalvat ho aur sharaab ho maashuq saamne
zaahid tujhe qasam hai jo tu ho to kyaa kare
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
palaT ke aa gai kheme ki samt pyaas miri
phaTe hue the sabhi baadalon ke mashkize
raakhiyaan le ke silonon ki barahman niklein
taar baarish kaa to TuuTe koi saaat koi pal
tujh se mil kar sab se naate toD liye the
ham ne baadal dekh ke maTke phoD liye the
shokhiyaan maasumiyat schōl jhulaa baarishein
kitni yaadein saath laayaa jab koi bachhDaa milaa