Shayari
is ashk o aah mein saudaa bigaD na jaae kahin
ye dil kuchh aab-rasida hai kuchh jalaa bhi hai
umr fariyaad mein barbaad gai kuchh na huaa
naala mashhur ghalat hai ki asar kartaa hai
عمر فریاد میں برباد گئی کچھ نہ ہوا
نالہ مشہور غلط ہے کہ اثر کرتا ہے
उम्र फ़रियाद में बर्बाद गई कुछ न हुआ
नाला मशहूर ग़लत है कि असर करता है

is ashk o aah mein saudaa bigaD na jaae kahin
ye dil kuchh aab-rasida hai kuchh jalaa bhi hai
chashm-e-tar par gar nahin kartaa havaa par rahm kar
de le saaqi ham ko mai ye abr-e-baaraan phir kahaan
kyaa badan hogaa ki jis ke kholte jaame kaa band
barg-e-gul ki tarah har naakhun moattar ho gayaa
misr mein husn ki vo garmi-e-baazaar kahaan
jins to hai pe zulekhaa saa kharidaar kahaan
dosti bad balaa hai is mein khudaa
kisi dushman ko mubtalaa na kare
khalvat ho aur sharaab ho maashuq saamne
zaahid tujhe qasam hai jo tu ho to kyaa kare
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
umr sab zauq-e-tamaashaa mein guzaari lekin
aaj tak ye na khulaa kis ke talabgaar hain ham