Shayari
jo tasavvur se maavaraa na huaa
vo to banda huaa khudaa na huaa
khaakistar-e-dil mein to na thaa ek sharar bhi
bekaar use barbaad kiyaa mauj-e-sabaa ne
خاکستر دل میں تو نہ تھا ایک شرر بھی
بیکار اسے برباد کیا موج صبا نے
ख़ाकिस्तर-ए-दिल में तो न था एक शरर भी
बेकार उसे बर्बाद किया मौज-ए-सबा ने

jo tasavvur se maavaraa na huaa
vo to banda huaa khudaa na huaa
na rahaa koi taar daaman mein
ab nahin haajat-e-rafu mujh ko
husn-e-fitrat ki aabru mujh se
aab o gil mein hai rang-o-bu mujh se
vo shabnam kaa sukun ho yaa ki parvaane ki betaabi
agar uDne ki dhun hogi to honge baal-o-par paidaa
aashob-e-iztiraab mein khaTkaa jo hai to ye
gham teraa mil na jaae gham-e-rozgaar mein
kuchh aisaa hai fareb-e-nargis-e-mastaana barson se
ki sab bhule hue hain kaaba o but-khaana barson se
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi