Shayari
us ki aankhon ke agar vasf raqam kijiyegaa
shaakh-e-nargis ko qalam kar ke qalam kijiyegaa
gar shaikh ne aah ki to mat bhuul
dil mein patthar ke bhi sharar hai
گر شیخ نے آہ کی تو مت بھول
دل میں پتھر کے بھی شرر ہے
गर शैख़ ने आह की तो मत भूल
दिल में पत्थर के भी शरर है

us ki aankhon ke agar vasf raqam kijiyegaa
shaakh-e-nargis ko qalam kar ke qalam kijiyegaa
'ishq' raushan thaa vahaan dida-e-aahu se charaagh
main jo yak raat gayaa qais ke kaashaane mein
aaina kabhi qaabil-e-didaar na hove
gar khaak ke saath us ko sarokaar na hove
tu ne kyaa dekhaa nahin gul kaa pareshaan ahvaal
ghuncha kyuun ainThaa huaa rahtaa hai zardaar ki tarah
ye but hirs-o-havaa ke dil ke jab kaaba mein toDungaa
tumhaari subha mein kab shaikh-ji zunnaar chhoDungaa
ho gul bulbul tabhi bulbul pe bulbul phuul kar gul ho
tire gar gul-badan bar mein qabaa-e-chashm-e-bulbul ho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
yahi rasta hai ab yahi manzil
ab yahin dil kisi bahaane lage
jab se Taangi hai tiri tasvir dil ki algani par
yaan tabhi se din mein titli baiThti hai shab mein jugnu
dil kaa kamra raushni se bhar gayaa
jab jalaa dipak tumhaari yaad kaa