Shayari
dekh saktaa huun binaa chashme ke main
dost teri bevafaai saaf saaf
dil kaa kamra raushni se bhar gayaa
jab jalaa dipak tumhaari yaad kaa
دل کا کمرہ روشنی سے بھر گیا
جب جلا دیپک تمہاری یاد کا
दिल का कमरा रौशनी से भर गया
जब जला दीपक तुम्हारी याद का

dekh saktaa huun binaa chashme ke main
dost teri bevafaai saaf saaf
chaahiye thi aap ki tasvir so
khinch li tasvir main ne chaand ki
raushni bhi tirgi bhi saath hai yaa yuun kahein
zindagi khush hai magar khush bhi tavaaif ki tarah
daf'atan main Thiik ho saktaa huun chaaraagar mire
tu mujhe pahnaa de us ke naam kaa taa'viz gar
rakh liyaa thaa main ne roza jaan tumhaare naam kaa
tum ko dekhaa khvaab mein aur meri sehri ho gai
rang saare aa gae 'aariz pe mere
jab kahaa us ne mujhe holi mubaarak
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
koi puraanaa khat kuchh bhuli-bisri yaad
zakhmon par vo lamhe marham hote hain
tu jafaaon se jo badnaam kiye jaataa hai
yaad aaegi tujhe meri vafaa mere baad
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain