Shayari
na hogaa raaegaan khun-e-shahidaan-e-vatan hargiz
yahi surkhi banegi ek din unvaan-e-aazaadi
guzar gae hain vo lamhe bhi ishq mein ai dost
tire baghair bhi jab khush rahe hain divaane
گزر گئے ہیں وہ لمحے بھی عشق میں اے دوست
ترے بغیر بھی جب خوش رہے ہیں دیوانے
गुज़र गए हैं वो लम्हे भी इश्क़ में ऐ दोस्त
तिरे बग़ैर भी जब ख़ुश रहे हैं दीवाने

na hogaa raaegaan khun-e-shahidaan-e-vatan hargiz
yahi surkhi banegi ek din unvaan-e-aazaadi
khudaa ai kaash 'naazish' jite-ji vo vaqt bhi laae
ki jab hindostaan kahlaaegaa hindostaan-e-aazaadi
javaano nazr de do apne khun-e-dil kaa har qatra
likhaa jaaegaa hindostaan ko farmaan-e-aazaadi
tah bah tah jamti chali jaati hai sannaaTon ki gard
haal-e-dil sab dekhte hain puchhtaa koi nahin
suno na meri shikasta-e-dili ke afsaane
ki mere saamne toDe gae hain paimaane
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
parvaane aa hi jaaeinge khinch kar ba-jabr-e-ishq
mahfil mein sirf shama jalaane ki der hai
yuun kar rahaa huun un ki mohabbat ke tazkire
jaise ki un se meri baDi rasm-o-raah thi
main de rahaa huun tujhe khud se ikhtilaaf kaa haq
ye ikhtilaaf kaa haq hai mukhaalifat kaa nahin