Shayari
isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
us ne baarish mein bhi khiDki khol ke dekhaa nahin
bhigne vaalon ko kal kyaa kyaa pareshaani hui
اس نے بارش میں بھی کھڑکی کھول کے دیکھا نہیں
بھیگنے والوں کو کل کیا کیا پریشانی ہوئی
उस ने बारिश में भी खिड़की खोल के देखा नहीं
भीगने वालों को कल क्या क्या परेशानी हुई

isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
hazaar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itnaa thaa ki koi saath rone vaalaa thaa
jo dil ke taaq mein tu ne charaagh rakkhaa thaa
na puchh main ne use kis tarah sitaara kiyaa
kisi bhi vaqt badal saktaa hai lamha koi
is qadar khush bhi na ho meri pareshaani par
vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar gae hain jo mausam guzarne vaale the
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
yuun to jal bujhne mein donon hain baraabar lekin
vo kahaan shama mein jo aag hai parvaane mein
raqib qatl huaa us ki tegh-e-abru se
haraam-zaada thaa achchhaa huaa halaal huaa
har qadam is mutabaadil se bhari duniyaa mein
raas aae to bas ik teri kami aae hamein
be-niyaazaana baraabar se guzarne vaale
tez kuchh qalb ki raftaar hui thi ki nahin
dhuup nikli hai baarishon ke baad
vo abhi ro ke muskuraae hain