Shayari
uff vo tufaan-e-shabaab aah vo siina teraa
jise har saans mein dab dab ke ubhartaa dekhaa
be-niyaazaana baraabar se guzarne vaale
tez kuchh qalb ki raftaar hui thi ki nahin
بے نیازانہ برابر سے گزرنے والے
تیز کچھ قلب کی رفتار ہوئی تھی کہ نہیں
बे-नियाज़ाना बराबर से गुज़रने वाले
तेज़ कुछ क़ल्ब की रफ़्तार हुई थी कि नहीं

uff vo tufaan-e-shabaab aah vo siina teraa
jise har saans mein dab dab ke ubhartaa dekhaa
jigar mein Tiis lab hansne pe majbur
kuchh aisi hi hamaari zindagi hai
der lagi aane mein tum ko shukr hai phir bhi aae to
aas ne dil kaa saath na chhoDaa vaise ham ghabraae to
dil par choT paDi hai tab to aah labon tak aai hai
yuun hi chhan se bol uThnaa to shishe kaa dastur nahin
jhuuT hai sab taarikh hamesha apne ko dohraati hai
achchhaa meraa khvaab-e-javaani thoDaa saa dohraae to
chaahat ke badle mein ham bech dein apni marzi tak
koi mile to dil kaa gaahak koi hamein apnaae to
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi