Shayari
barq o simaab kaa 'aaghaa' na rahe naam-o-nishaan
dil ki betaabi se ik baar jo muztar main huun
A
Aagha Akbarabadiraqib qatl huaa us ki tegh-e-abru se
haraam-zaada thaa achchhaa huaa halaal huaa
رقیب قتل ہوا اس کی تیغ ابرو سے
حرام زادہ تھا اچھا ہوا حلال ہوا
रक़ीब क़त्ल हुआ उस की तेग़-ए-अबरू से
हराम-ज़ादा था अच्छा हुआ हलाल हुआ
barq o simaab kaa 'aaghaa' na rahe naam-o-nishaan
dil ki betaabi se ik baar jo muztar main huun
haath donon miri gardan mein hamaail kiije
aur ghairon ko dikhaa diije anguThaa apnaa
tavaaf-e-kaaba ko kyaa jaaein haj nahin vaajib
kalaal-khaane ke kuchh din-daar ham bhi hain
sharaab piite hain to jaagte hain saari raat
mudaam aabid-e-shab-zinda-daar ham bhi hain
do-shaala shaal kashmiri amiron ko mubaarak ho
galim-e-kohna mein jaaDaa faqiron kaa basar hogaa
hamein to un ki mohabbat hai koi kuchh samjhe
hamaare saath mohabbat unhein nahin to nahin
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
baadal ke ek TukDe mein kyon dab gai tapish
suraj hazaar darja jalaali banaa rahaa
baraabar khafaa hon baraabar manaaein
na tum baaz aao na ham baaz aaein
kyaa hamsari ki ham se tamannaa kare koi
ham khud bhi apne qad ke baraabar na ho sake
us ko sochun to dhyaan mein mere
khushbu aati hai pahli baarish ki
usi ke sher sabhi aur usi ke afsaane
usi ki pyaas kaa baadal ghaTaa mein aayaa hai