Shayari
gurez-paa hai nayaa raasta kidhar jaaein
chalo ki lauT ke ham apne apne ghar jaaein
tanhaai mili mujh ko zarurat se ziyaada
paDhti hain kitaabein mujhe vahshat se ziyaada
تنہائی ملی مجھ کو ضرورت سے زیادہ
پڑھتی ہیں کتابیں مجھے وحشت سے زیادہ
तन्हाई मिली मुझ को ज़रूरत से ज़ियादा
पढ़ती हैं किताबें मुझे वहशत से ज़ियादा

gurez-paa hai nayaa raasta kidhar jaaein
chalo ki lauT ke ham apne apne ghar jaaein
maut bar-haq hai ek din lekin
niind raaton ko khuub aati hai
jo maang rahe ho vo mire bas mein nahin hai
darkhvaast tumhaari hai zarurat se ziyaada
ghar ke sab darvaaze kyuun divaar hue hain
ghar se baahar duniyaa saari chikh rahi hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
meri chaadar to chhini thi shaam ki tanhaai mein
be-ridaai ko miri phir de gayaa tashhir kaun
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
yakka ulaT ke rah gayaa ghoDaa bhaDak gayaa
kaali saDak pe chaand saa chehra chamak gayaa