Shayari
kis ne kahaa hai tum se ki taa-umr saath do
hai chaar din ki baat miri baat maan lo
J
Jameel Usmanham raaz-e-dil chhupaate magar apni zindagi
puuri khuli kitaab agar ho to kyaa karein
ہم راز دل چھپاتے مگر اپنی زندگی
پوری کھلی کتاب اگر ہو تو کیا کریں
हम राज़-ए-दिल छुपाते मगर अपनी ज़िंदगी
पूरी खुली किताब अगर हो तो क्या करें
kis ne kahaa hai tum se ki taa-umr saath do
hai chaar din ki baat miri baat maan lo
hai zindagi baghair tumhaare ik iztiraab
de do ise sabaat miri baat maan lo
so jaaiye huzur ki ab raat ho gai
jo baat hone vaali thi vo baat ho gai
badlegi kaaenaat miri baat maan lo
mujh se milaao haat miri baat maan lo
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne