Shayari
mujh se ye pyaas kaa sahraa nahin dekhaa jaataa
roz ab khvaab mein dariyaa nahin dekhaa jaataa
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
عمر ہی تیری گزر جائے گی ان کے حل میں
تیرا بچہ جو سوالات لیے بیٹھا ہے
उम्र ही तेरी गुज़र जाएगी उन के हल में
तेरा बच्चा जो सवालात लिए बैठा है

mujh se ye pyaas kaa sahraa nahin dekhaa jaataa
roz ab khvaab mein dariyaa nahin dekhaa jaataa
ye jafaaon ki sazaa hai ki tamaashaai hai tu
ye vafaaon ki sazaa hai ki pae-daar huun main
gir na jaae tire meyaar se andaaz-e-huruf
yuun kabhi naam bhi teraa nahin likhkhaa main ne
aaj kaa khat hi use bhejaa hai koraa lekin
aaj kaa khat hi adhuraa nahin likhkhaa main ne
ye buzurgon ki ravaa-daari ke pazh-murda gulaab
aabiyaari chaahte hain in mein chingaari na rakh
maqaam-e-zabt gham-e-ishq mein vo paidaa kar
ki tu khushi ko na tarse tujhe khushi tarse
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein