Shayari
dekhiye to hai kaarvaan varna
har musaafir safar mein tanhaa hai
baDaa ajiib hai tahzib-e-irteqaa ke liye
tamaam umr kisi ik ko ham-navaa rakhnaa
بڑا عجیب ہے تہذیب ارتقا کے لیے
تمام عمر کسی اک کو ہم نوا رکھنا
बड़ा अजीब है तहज़ीब-ए-इर्तिक़ा के लिए
तमाम उम्र किसी इक को हम-नवा रखना

dekhiye to hai kaarvaan varna
har musaafir safar mein tanhaa hai
apne baare mein jab bhi sochaa hai
us kaa chehra nazar mein ubhraa hai
be-vafaa hi sahi zamaane mein
ham kisi fan ki intihaa to hue
na qurb-e-zaat hi haasil na zakhm-e-rusvaai
ajiib lagtaa hai ab khud se raabta rakhnaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
tujh ko ho mere lams ki khvaahish shadid-tar
tujh se tamaam 'umr miraa saamnaa na ho
tamaam umr tiri ham-rahi kaa shauq rahaa
magar ye ranj ki main mauja-e-sabaa na huaa
hijr ke daur mein har daur ko shaamil kar lein
is mein shaamil yahi ik umr-e-gurezaan kyuun hai