Shayari
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain
aankhein jo uThaae to mohabbat kaa gumaan ho
nazron ko jhukaae to shikaayat si lage hai
آنکھیں جو اٹھائے تو محبت کا گماں ہو
نظروں کو جھکائے تو شکایت سی لگے ہے
आँखें जो उठाए तो मोहब्बत का गुमाँ हो
नज़रों को झुकाए तो शिकायत सी लगे है

ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain
ashaar mire yuun to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat un ko sunaane ke liye hain
zulfein siina naaf kamar
ek nadi mein kitne bhanvar
dil ko har lamha bachaate rahe jazbaat se ham
itne majbur rahe hain kabhi haalaat se ham
ishq mein kyaa nuqsaan nafa hai ham ko kyaa samjhaate ho
ham ne saari umr hi yaaro dil kaa kaarobaar kiyaa
itne maayus to haalaat nahin
log kis vaaste ghabraae hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kuchh badan ke the taqaaze kuchh sharaarat dil ki thi
aaj lekin ishq apnaa jaavedaan hone ko thaa
lutf-e-sohbat mataa-e-ulfat hai
kuchh kaho aur kuchh suno pyaare
ek bose se muraad-e-dil-e-naashaad to do
kuchh na do haath se par munh se miri daad to do
ulfat mein teraa ronaa 'ehsaan' bahut bajaa hai
har vaqt meinh kaa honaa ye rahmat-e-khudaa hai