Shayari
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
in labon kaa lahu na pi jaaun
apni tishna-labi se khatra hai
ان لبوں کا لہو نہ پی جاؤں
اپنی تشنہ لبی سے خطرہ ہے
in laboñ kā lahū na pī jā.ūñ
apnī tishna-labī se ḳhatra hai

chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai
shishe ke is taraf se main sab ko tak rahaa huun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo jo na aane vaalaa hai naa us se mujh ko matlab thaa
aane vaalon se kyaa matlab aate hain aate honge
ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
Dartaa huun dekh kar dil-e-be-aarzu ko main
sunsaan ghar ye kyuun na ho mehmaan to gayaa
Dar ham ko bhi lagtaa hai raste ke sannaaTe se
lekin ek safar par ai dil ab jaanaa to hogaa
sharaafaton ki yahaan koi ahmiyat hi nahin
kisi kaa kuchh na bigaaDo to kaun Dartaa hai
aise milein ki ham ko bichhaDne kaa Dar na ho
vo 'ishq koi 'ishq hai jo 'umr bhar na ho
main khush huun agar gulshan ke liye kuchh meraa lahu kaam aa jaae
lekin mujh ko Dar hai is kaa gulchin pe na ilzaam aa jaae
shaghl thaa dasht-navardi kaa kabhi ai 'taabaan'
ab gulistaan mein bhi jaate hue Dar lagtaa hai