Shayari
ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
sharaafaton ki yahaan koi ahmiyat hi nahin
kisi kaa kuchh na bigaaDo to kaun Dartaa hai
شرافتوں کی یہاں کوئی اہمیت ہی نہیں
کسی کا کچھ نہ بگاڑو تو کون ڈرتا ہے
शराफ़तों की यहाँ कोई अहमियत ही नहीं
किसी का कुछ न बिगाड़ो तो कौन डरता है

ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
tahrir se varna miri kyaa ho nahin saktaa
ik tu hai jo lafzon mein adaa ho nahin saktaa
raat to vaqt ki paaband hai Dhal jaaegi
dekhnaa ye hai charaaghon kaa safar kitnaa hai
bhare makaan kaa bhi apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne vaalaa
shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
kiije mujhe qubul miri har kami ke saath
hamaare ghar kaa pataa puchhne se kyaa haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahin hoti
mazra-e-duniyaa mein daanaa hai to Dar kar haath Daal
ek din denaa hai tujh ko daane daane kaa hisaab
pi shauq se vaaiz are kyaa baat hai Dar ki
dozakh tire qabze mein hai jannat tire ghar ki
bahut himmat kaa hai ye kaam 'shaariq'
ki sharmaate nahin Darte hue ham
Dar hai na dupaTTa kahin siine se sarak jaae
pankhaa bhi hamein paas se jhalne nahin dete
ghair taraf kyunki nazar kar sakun
khauf hai tujh ishq ke jaasus kaa
chehre se jhaaD pichhle baras ki kuduratein
divaar se puraanaa calender utaar de