Shayari
chaand kaa qurb lagaa kaisaa chalo puchh aaein
aasmaanon ke safar se vo palaT aayaa hai
ek chehra hai jo aankhon mein basaa rahtaa hai
ik tasavvur hai jo tanhaa nahin hone detaa
ایک چہرہ ہے جو آنکھوں میں بسا رہتا ہے
اک تصور ہے جو تنہا نہیں ہونے دیتا
एक चेहरा है जो आँखों में बसा रहता है
इक तसव्वुर है जो तन्हा नहीं होने देता

chaand kaa qurb lagaa kaisaa chalo puchh aaein
aasmaanon ke safar se vo palaT aayaa hai
dar-ba-dar ho gae taabir ki dhun mein kitne
in hasin khvaabon se baDh kar koi saffaak nahin
jise na aane ki qasmein main de ke aayaa huun
usi ke qadmon ki aahaT kaa intizaar bhi hai
muddat hui ki zinda huun dekhe baghair use
vo shakhs mere dil se utar to nahin gayaa
zaraa qarib se dekhun to koi raaz khule
yahaan to har koi lagtaa hai aadmi jaisaa
zinda rahne ke liye asbaab de
meri aankhon ko tu apne khvaab de
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin