Shayari
aaj apne bhi paraae se nazar aate hain
pyaar ki rasm zamaane se uThi jaati hai
koi khayaal koi yaad koi to ehsaas
milaa de aaj zaraa aa ke ham ko khud ham se
کوئی خیال کوئی یاد کوئی تو احساس
ملا دے آج ذرا آ کے ہم کو خود ہم سے
कोई ख़याल कोई याद कोई तो एहसास
मिला दे आज ज़रा आ के हम को ख़ुद हम से

aaj apne bhi paraae se nazar aate hain
pyaar ki rasm zamaane se uThi jaati hai
muddat se rahi farsh tiri raahguzar mein
tab jaa ke sitaaron se kahin aankh laDi hai
kaanTon pe chale hain to kahin phuul khile hain
phulon se mile hain to baDi choT lagi hai
ye to vaqt vaqt ki baat hai hamein un se koi gila nahin
vo hon aaj ham se khafaa khafaa kabhu ham se un ko bhi pyaar thaa
dard ki aanch banaa deti hai dil ko iksir
dard se dil hai agar dard nahin dil bhi nahin
gham se ehsaas kaa aaina jilaa paataa hai
aur gham sikhe hai aa kar ye saliqa mujh se
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
yaad nahin kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gae
us ki galiyon se jab lauTe apnaa bhi ghar bhuul gae
aa gayaa yaad unhein apne kisi gham kaa hisaab
hansne vaalon ne mire ashk jo gin ke dekhe
jab jab tum ko yaad karein ham
tab tab baarish ho jaati hai
ba-zaahir dasht ki jaanib to baDhtaa jaa rahaa hai
magar sab raaste bhi yaad kartaa jaa rahaa hai