Shayari
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
har taraf chhaa gae paighaam-e-mohabbat ban kar
mujh se achchhi rahi qismat mere afsaanon ki
ہر طرف چھا گئے پیغام محبت بن کر
مجھ سے اچھی رہی قسمت مرے افسانوں کی
हर तरफ़ छा गए पैग़ाम-ए-मोहब्बत बन कर
मुझ से अच्छी रही क़िस्मत मेरे अफ़्सानों की

sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
pyaar karne bhi na paayaa thaa ki rusvaai mili
jurm se pahle hi mujh ko sang-e-khamyaaza lagaa
is mein nahin hai dakhl koi khauf o hirs kaa
is ki jazaa, na is ki sazaa hai, ye ishq hai
rishta bahaal kaash phir us ki gali se ho
ji chaahtaa hai ishq dobaara usi se ho