Shayari
suraj huun chamakne kaa bhi haq chaahiye mujh ko
main kohr mein lipTaa huun shafaq chaahiye mujh ko
pyaar karne bhi na paayaa thaa ki rusvaai mili
jurm se pahle hi mujh ko sang-e-khamyaaza lagaa
پیار کرنے بھی نہ پایا تھا کہ رسوائی ملی
جرم سے پہلے ہی مجھ کو سنگ خمیازہ لگا
प्यार करने भी न पाया था कि रुस्वाई मिली
जुर्म से पहले ही मुझ को संग-ए-ख़म्याज़ा लगा

suraj huun chamakne kaa bhi haq chaahiye mujh ko
main kohr mein lipTaa huun shafaq chaahiye mujh ko
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ab tu darvaaze se apne naam ki takhti utaar
lafz nange ho gae shohrat bhi gaali ho gai
suraj huun zindagi ki ramaq chhoD jaaungaa
main Duub bhi gayaa to shafaq chhoD jaaungaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ilaahi ek gham-e-rozgaar kyaa kam thaa
ki ishq bhej diyaa jaan-e-mubtalaa ke liye