Shayari
dozakh se bhi kharaab kahun main bahisht ko
do-chaar agar vahaan pe bhi sarmaaya-daar hon
rashk-e-jinaan chaman ko banaanaa basant kaa
har har kali mein rang dikhaanaa basant kaa
رشک جناں چمن کو بنانا بسنت کا
ہر ہر کلی میں رنگ دکھانا بسنت کا
रश्क-ए-जिनाँ चमन को बनाना बसंत का
हर हर कली में रंग दिखाना बसंत का

dozakh se bhi kharaab kahun main bahisht ko
do-chaar agar vahaan pe bhi sarmaaya-daar hon
ek aansu bhi agar ro de to jaanun tujh ko
meri taqdir mujhe dekh kar hansti kyaa hai
har samt sabza-zaar bichhaanaa basant kaa
phulon mein rang-o-bu ko luTaanaa basant kaa
tu ne hi rah na dikhaai to dikhaaegaa kaun
ham tiri raah mein gumraah hue baiThe hain
hai fahm us kaa jo har insaan ke dil ki zabaan samjhe
sukhan vo hai jise har shakhs apnaa hi bayaan samjhe
qudrat ki barkatein hain khazaana basant kaa
kyaa khuub kyaa ajiib zamaana basant kaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
main rahaa umr bhar judaa khud se
yaad main khud ko umr bhar aayaa
javaani kyaa hui ik raat ki kahaani hui
badan puraanaa huaa ruuh bhi puraani hui
yahi jaanaa ki kuchh na jaanaa haae
so bhi ik umr mein huaa maalum