Shayari
chaalis jaam pi ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqi ne khuub raah nikaali zakaat ki
puuraa kareinge holi mein kyaa vaada-e-visaal
jin ko abhi basant ki ai dil khabar nahin
پورا کریں گے ہولی میں کیا وعدۂ وصال
جن کو ابھی بسنت کی اے دل خبر نہیں
पूरा करेंगे होली में क्या वादा-ए-विसाल
जिन को अभी बसंत की ऐ दिल ख़बर नहीं

chaalis jaam pi ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqi ne khuub raah nikaali zakaat ki
ik baat par qaraar unhein raat-bhar nahin
do do pahar jo haan hai to do do pahar nahin
agar un ko puujaa to kyaa kufr hogaa
ki but bhi khudaa ke banaae hue hain
is qadar mahv na hon aap khud-aaraai mein
daagh lag jaae na aaina-e-yaktaai mein
tiri taarif ho ai sahib-e-ausaaf kyaa mumkin
zabaanon se dahaanon se takallum se bayaanon se
phir na baaqi rahe ghubaar kabhi
holi khelo jo khaaksaaron mein
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
dil par dastak dene kaun aa niklaa hai
kis ki aahaT suntaa huun viraane mein
dil lagaao to lagaao dil se dil
dil-lagi hi dil-lagi achchhi nahin
dil ko khudaa ki yaad tale bhi dabaa chukaa
kam-bakht phir bhi chain na paae to kyaa karun