Shayari
na ham vahshat mein apne ghar se nikle
na sahraa apni viraani se niklaa
kuchh aisi bhi dil ki baatein hoti hain
jin baaton ko khalvat kam paD jaati hai
کچھ ایسی بھی دل کی باتیں ہوتی ہیں
جن باتوں کو خلوت کم پڑ جاتی ہے
कुछ ऐसी भी दिल की बातें होती हैं
जिन बातों को ख़ल्वत कम पड़ जाती है

na ham vahshat mein apne ghar se nikle
na sahraa apni viraani se niklaa
bane hain kaam sab uljhan se mere
yahi atvaar hain bachpan se mere
zindagi mein kasak zaruri thi
ye khalaa pur tiri kami se huaa
haal puchhaa na kare haath milaayaa na kare
main isi dhuup mein khush huun koi saaya na kare
kyaa chaahti hai ham se hamaari ye zindagi
kyaa qarz hai jo ham se adaa ho nahin rahaa
mere andar kaa shor hai mujh mein
varna baahar to khaamushi hai yahaan
sunaa thaa main ne ki fitrat khalaa ki dushman hai
so vo badan miri tanhaaiyon ko paaT gayaa
apnaa ye charaagh-e-dil maddham hi sahi lekin
duniyaa ke andheron se tanhaa hi ye laDtaa hai
tasadduq is karam ke main kabhi tanhaa nahin rahtaa
ki jis din tum nahin aate tumhaari yaad aati hai
tanhaa vo aaein jaaein ye hai shaan ke khilaaf
aanaa hayaa ke saath hai jaanaa adaa ke saath
koi kyaa jaane ki hai roz-e-qayaamat kyaa chiiz
dusraa naam hai meri shab-e-tanhaai kaa
banaaun kis ko shab-e-gham anis-e-tanhaai
ki saath hai miri taqdir vo bhi khvaab mein hai