Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
tanhaa vo aaein jaaein ye hai shaan ke khilaaf
aanaa hayaa ke saath hai jaanaa adaa ke saath
تنہا وہ آئیں جائیں یہ ہے شان کے خلاف
آنا حیا کے ساتھ ہے جانا ادا کے ساتھ
तन्हा वो आएँ जाएँ ये है शान के ख़िलाफ़
आना हया के साथ है जाना अदा के साथ

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
miri tanhaai mujh se kahti hai
bhaaD mein jaae bhiiD aao idhar
raat ik ujDe makaan par jaa ke jab aavaaz di
guunj uTThe baam-o-dar meri sadaa ke saamne
main muskuraataa magar di na ashk ne mohlat
khushi jab ek mili saath gham hazaar mile