Shayari
guzar rahi hai jo dil par vahi haqiqat hai
gham-e-jahaan kaa fasaana gham-e-hayaat se puchh
kisi khayaal kaa koi vajud ho shaayad
badal rahaa huun main khvaabon ko tajraba kar ke
کسی خیال کا کوئی وجود ہو شاید
بدل رہا ہوں میں خوابوں کو تجربہ کر کے
किसी ख़याल का कोई वजूद हो शायद
बदल रहा हूँ मैं ख़्वाबों को तजरबा कर के

guzar rahi hai jo dil par vahi haqiqat hai
gham-e-jahaan kaa fasaana gham-e-hayaat se puchh
chamak rahe the andhere mein soch ke jugnu
main apni yaad ke kheme mein so nahin paayaa
junun kaa koi fasaana to haath aane do
main ro paDungaa bahaana to haath aane do
ham log to akhlaaq bhi rakh aae hain 'saahil'
raddi ke isi Dher mein aadaab paDe the
khvaab dekhaa thaa mohabbat kaa mohabbat ki qasam
phir isi khvaab ki taabir mein masruf thaa main
main tamaashaa huun tamaashaai hain chaaron jaanib
sharm hai sharm ke maare nahin ro saktaa main
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
aa andalib mil ke karein aah-o-zaariyaan
tu haae gul pukaar main chillaaun haae dil
bachegaa na kaavish se mizhgaan ki dil
ki nashtar bahut aabla ek hai
laala-ruyon se kab faraagh rahaa
ik na ik gul kaa dil pe daagh rahaa