Shayari
kahin raanjhaa, kahin majnun huaa
vajud-e-ishq aalamgir hai
dasht-e-junun se aa gae shahr-e-khirad mein ham
dil ko magar ye saaneha achchhaa nahin lagaa
دشت جنوں سے آ گئے شہر خرد میں ہم
دل کو مگر یہ سانحہ اچھا نہیں لگا
दश्त-ए-जुनूँ से आ गए शहर-ए-ख़िरद में हम
दिल को मगर ये सानेहा अच्छा नहीं लगा

kahin raanjhaa, kahin majnun huaa
vajud-e-ishq aalamgir hai
mujhe shak hai hone na hone pe 'khaalid'
agar huun to apnaa pataa chaahtaa huun
Tapak ke dida-e-nam se sadaaein detaa hai
jo ek harf-e-tamannaa dil-e-tabaah mein thaa
miri vahshaton kaa sabab kaun samjhe
ki main gum-shuda qaafila chaahtaa huun
anaasir ki ghani zanjir hai
so ye hasti ki ik taabir hai
tumhaari yaad kaa marham banaam-e-dil kar duun
tamaam hijr ke zakhmon ko mundamil kar duun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
main badaltaa huun roz apnaa hadaf
ye miri mustaqil-mizaaji hai
'zahur' karnaa hai ran mubaddal-ba-kisht mujh ko
main apni talvaar kuuT kar hal banaa rahaa huun
furqat mein kaar-e-vasl liyaa vaah vaah se
har aah-e-dil ke saath ik armaan nikal gayaa
baaqi na dil mein koi bhi yaa rab havas rahe
chaudah baras ke sin mein vo laakhon baras rahe