Shayari
kahin raanjhaa, kahin majnun huaa
vajud-e-ishq aalamgir hai
mujhe shak hai hone na hone pe 'khaalid'
agar huun to apnaa pataa chaahtaa huun
مجھے شک ہے ہونے نہ ہونے پہ خالدؔ
اگر ہوں تو اپنا پتا چاہتا ہوں
मुझे शक है होने न होने पे 'ख़ालिद'
अगर हूँ तो अपना पता चाहता हूँ

kahin raanjhaa, kahin majnun huaa
vajud-e-ishq aalamgir hai
dasht-e-junun se aa gae shahr-e-khirad mein ham
dil ko magar ye saaneha achchhaa nahin lagaa
Tapak ke dida-e-nam se sadaaein detaa hai
jo ek harf-e-tamannaa dil-e-tabaah mein thaa
miri vahshaton kaa sabab kaun samjhe
ki main gum-shuda qaafila chaahtaa huun
anaasir ki ghani zanjir hai
so ye hasti ki ik taabir hai
tumhaari yaad kaa marham banaam-e-dil kar duun
tamaam hijr ke zakhmon ko mundamil kar duun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
puraane khvaabon se reza reza badan huaa hai
ye chaahtaa huun ki ab nayaa koi khvaab dekhun
kam-zarf zamaane ki hiqaarat kaa gila kyaa
main khush huun miraa pyaar samundar ki tarah hai
apnon ki chaahaton ne bhi kyaa kyaa diye fareb
rote rahe lipaT ke har ik ajnabi ke saath