Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
raat baaqi thi jab vo bichhDe the
kaT gai umr raat baaqi hai
رات باقی تھی جب وہ بچھڑے تھے
کٹ گئی عمر رات باقی ہے
रात बाक़ी थी जब वो बिछड़े थे
कट गई उम्र रात बाक़ी है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ham pe guzraa hai vo bhi vaqt 'khumaar'
jab shanaasaa bhi ajnabi se mile
na to hosh se taaaruf na junun se aashnaai
ye kahaan pahunch gae hain tiri bazm se nikal ke
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain
phuul kar le nibaah kaanTon se
aadmi hi na aadmi se mile
dushmanon se pashemaan honaa paDaa hai
doston kaa khulus aazmaane ke baad
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
intizaar aur dastakon ke darmiyaan kaTti hai umr
itni aasaani se to baab-e-hunar khultaa nahin
kaTi hai jis ke khayaalon mein umr apni 'munir'
mazaa to jab hai ki us shokh ko pataa hi na ho
haadse nahin hue ki tajraba nahin huaa
mukhtasar si zindagi mein kyaa se kyaa nahin huaa