Shayari
meri aaankhon mein kisi ne nahin dekhe aansu
phir bhi ye sach hai ki giryaan huun hamesha ki tarah
gham huaa meri zindagi kaa madaar
is qadar gham kaa ehtiraam kiyaa
غم ہوا میری زندگی کا مدار
اس قدر غم کا احترام کیا
ग़म हुआ मेरी ज़िंदगी का मदार
इस क़दर ग़म का एहतिराम किया

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ai inqalaab-e-nau ke ujaale kahaan hai tu
saDkon pe mere shahr ki kab tak dhuaan rahe
jab khudaa bhi nahin thaa saath mare
mujh pe biiti hai aisi tanhaai
abhi tak fasl-e-gul mein ik sadaa-e-dard aati hai
vahaan ki khaak se pahle jahaan thaa aashiyaan meraa