Shayari
tiir o talvaar se baDh kar hai tiri tirchhi nigah
saikDon aashiqon kaa khuun kiye baiThi hai
'chandaa' rahe partav se tire yaa ali raushan
khurshid ko hai dar se tire shaam-o-sahar faiz
چنداؔ رہے پرتو سے ترے یا علی روشن
خورشید کو ہے در سے ترے شام و سحر فیض
'चंदा' रहे परतव से तिरे या अली रौशन
ख़ुर्शीद को है दर से तिरे शाम-ओ-सहर फ़ैज़

tiir o talvaar se baDh kar hai tiri tirchhi nigah
saikDon aashiqon kaa khuun kiye baiThi hai
garche gul ki sej ho tis par bhi uD jaati hai niind
sar rakhun qadmon pe jab tere mujhe aati hai niind
ba-juz haq ke nahin hai ghair se hargiz tavaqqo kuchh
magar duniyaa ke logon mein mujhe hai pyaar se matlab
gul ke hone ki tavaqqoa pe jiye baiThi hai
har kali jaan ko muTThi mein liye baiThi hai
kabhi sayyaad kaa khaTkaa hai kabhi khauf-e-khizaan
bulbul ab jaan hatheli pe liye baiThi hai
sang-e-rah huun ek Thokar ke liye
tis pe vo daaman sambhaal aataa hai aaj
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
huaa kyaa ai nasim-e-subh-gaahi
jo murjhaayaa huaa dil kaa kanval hai
din bhi hai raat bhi hai subh bhi hai shaam bhi hai
itne vaqton mein koi vaqt-e-mulaaqaat bhi hai
kyaa shai hai khinch leti hai shab ko sar-e-falak
phir subh joDti hai dobaara zamin se
shab-e-gham kaa miraa ik saath qissa mukhtasar honaa
udhar dam toDnaa meraa idhar paidaa sahar honaa
sahar ke saath hogaa chaak meraa daaman-e-hasti
ba-rang-e-shama bazm-e-dahr mein mehmaan huun shab bhar kaa