Shayari
tiir o talvaar se baDh kar hai tiri tirchhi nigah
saikDon aashiqon kaa khuun kiye baiThi hai
kabhi sayyaad kaa khaTkaa hai kabhi khauf-e-khizaan
bulbul ab jaan hatheli pe liye baiThi hai
کبھی صیاد کا کھٹکا ہے کبھی خوف خزاں
بلبل اب جان ہتھیلی پہ لیے بیٹھی ہے
कभी सय्याद का खटका है कभी ख़ौफ़-ए-ख़िज़ाँ
बुलबुल अब जान हथेली पे लिए बैठी है

tiir o talvaar se baDh kar hai tiri tirchhi nigah
saikDon aashiqon kaa khuun kiye baiThi hai
garche gul ki sej ho tis par bhi uD jaati hai niind
sar rakhun qadmon pe jab tere mujhe aati hai niind
ba-juz haq ke nahin hai ghair se hargiz tavaqqo kuchh
magar duniyaa ke logon mein mujhe hai pyaar se matlab
gul ke hone ki tavaqqoa pe jiye baiThi hai
har kali jaan ko muTThi mein liye baiThi hai
gar mire dil ko churaayaa nahin tu ne zaalim
khol de band hatheli ko dikhaa haathon ko
sang-e-rah huun ek Thokar ke liye
tis pe vo daaman sambhaal aataa hai aaj
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
vaqt har zakhm ko bhar detaa hai kuchh bhi kiije
yaad rah jaati hai halki si chubhan ki had tak
vatan ke log sataate the jab vatan mein the
vatan ki yaad sataati hai jab vatan mein nahin
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai