Shayari
mahaz khvaabon khayaalon mein tiraa didaar ho kab tak
haqiqat mein bhi tujh se aashnaai chaahte hain ham
piyein saaqi ke haathon se mai-e-ulfat piyein jab bhi
mire naaseh bas itni paarsaai chaahte hain ham
پئیں ساقی کے ہاتھوں سے مئے الفت پئیں جب بھی
مرے ناصح بس اتنی پارسائی چاہتے ہیں ہم
पिएँ साक़ी के हाथों से मय-ए-उल्फ़त पिएँ जब भी
मिरे नासेह बस इतनी पारसाई चाहते हैं हम

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain