Shayari
chaahi thi dil ne tujh se vafaa kam bahut hi kam
shaayad isi liye hai gilaa kam bahut hi kam
tumhein khayaal nahin kis tarah bataaein tumhein
ki saans chalti hai lekin udaas chalti hai
تمہیں خیال نہیں کس طرح بتائیں تمہیں
کہ سانس چلتی ہے لیکن اداس چلتی ہے
तुम्हें ख़याल नहीं किस तरह बताएँ तुम्हें
कि साँस चलती है लेकिन उदास चलती है

chaahi thi dil ne tujh se vafaa kam bahut hi kam
shaayad isi liye hai gilaa kam bahut hi kam
tumhaare vaaste sab kuchh hai mere banda-navaaz
magar ye shart ki pahle pasand aao mujhe
ye kyaa kahun ki mujh ko kuchh gunaah bhi aziiz hain
ye kyuun kahun ki zindagi savaab ke liye nahin
ulajhte rahne mein kuchh bhi nahin thakan ke sivaa
bahut haqir hain ham tum baDi hai ye duniyaa
ye dil-navaaz udaasi bhari bhari palkein
are in aankhon mein kyaa hai suno dikhaao mujhe
haae phir fasl-e-bahaar aai 'khizaan'
kabhi marnaa kabhi jiinaa hai muhaal
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kal main ne us ko dekhaa to dekhaa nahin gayaa
mujh se bichhaD ke vo bhi bahut gham se chuur thaa
hai yahaan kis ko dimaagh anjuman-aaraai kaa
apne rahne ko makaan chaahiye tanhaai kaa