Shayari
yuun guzarte hain hijr ke lamhe
jaise vo baat karte jaate hain
duniyaa se haT ke ik nai duniyaa banaa sakein
kuchh ahl-e-aarzu isi hasrat mein mar gae
دنیا سے ہٹ کے اک نئی دنیا بنا سکیں
کچھ اہل آرزو اسی حسرت میں مر گئے
दुनिया से हट के इक नई दुनिया बना सकें
कुछ अहल-ए-आरज़ू इसी हसरत में मर गए

yuun guzarte hain hijr ke lamhe
jaise vo baat karte jaate hain
kis tarah karein tujh se gila tere sitam kaa
madhosh ishaaron ne bhi dil toD diyaa hai
tasvir-e-zindagi mein nayaa rang bhar gae
vo haadse jo dil pe hamaare guzar gae
is Dubte suraj se to ummid hi kyaa thi
hans hans ke sitaaron ne bhi dil toD diyaa hai
aghyaar kaa shikva nahin is ahd-e-havas mein
ik umr ke yaaron ne bhi dil toD diyaa hai
kaun samjhe ham pe kyaa guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThtaa hai zikr-e-shaam se
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
apni khvaahish mein jo bas gae hain vo divaar-o-dar chhoD dein
dhuup aankhon mein chubhne lagi hai to kyaa ham safar chhoD dein
main dekhtaa huun faraaz-e-junun se duniyaa ko
ki sahal bhi nahin shaayaan-e-aarzu honaa
mujh ko sukun ki chain ki pazhmurdagi se kyaa
har roz ek taaza qayaamat ki aarzu