Shayari
qayaadat phir se paane ko hai ye allaama kaa nuskha
sabaq paDh le adaalat ke sadaaqat ke shujaaat ke
apni ammi ko mohabbat se jo dekhaa main ne
puuri jannat miri aankhon mein simaT aai hai
اپنی امی کو محبت سے جو دیکھا میں نے
پوری جنت مری آنکھوں میں سمٹ آئی ہے
अपनी अम्मी को मोहब्बत से जो देखा मैं ने
पूरी जन्नत मिरी आँखों में सिमट आई है

qayaadat phir se paane ko hai ye allaama kaa nuskha
sabaq paDh le adaalat ke sadaaqat ke shujaaat ke
kidhar nishaana lagaa rahe ho kahaan nigaahein Tiki hui hain
ye kaise pakDi hui hai tum ne kamaan tumhaari muDi hui hai
mujhe tum se ulajhnaa hai kisi din
bahut se masale suljhaa sakungaa
kyaa kahaa khushbuein luTaataa huun
main tiri haan mein haan milaataa huun
tumhaare saath hone se mujhe taskin milti hai
mire hamdam mire dilbar hamaare saath rahnaa tum
fazaaon mein mohabbat gholtaa huun
main hindi huun main urdu boltaa huun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
phir nahin mere sivaa koi bhi hotaa teraa
tu agar jaan ye jaataa ki mohabbat kyaa hai
achchhi-khaasi dosti thi yaar ham donon ke biich
ek din phir us ne izhaar-e-mohabbat kar diyaa
chaahiye hai mujhe inkaar-e-mohabbat mire dost
lekin is mein tiraa inkaar nahin chaahiye hai
bhari duniyaa mein faqat mujh se nigaahein na churaa
ishq par bas na chalegaa tiri daanaai kaa