Shayari
apni ammi ko mohabbat se jo dekhaa main ne
puuri jannat miri aankhon mein simaT aai hai
fazaaon mein mohabbat gholtaa huun
main hindi huun main urdu boltaa huun
فضاؤں میں محبت گھولتا ہوں
میں ہندی ہوں میں اردو بولتا ہوں
फ़ज़ाओं में मोहब्बत घोलता हूँ
मैं हिन्दी हूँ मैं उर्दू बोलता हूँ

apni ammi ko mohabbat se jo dekhaa main ne
puuri jannat miri aankhon mein simaT aai hai
qayaadat phir se paane ko hai ye allaama kaa nuskha
sabaq paDh le adaalat ke sadaaqat ke shujaaat ke
kidhar nishaana lagaa rahe ho kahaan nigaahein Tiki hui hain
ye kaise pakDi hui hai tum ne kamaan tumhaari muDi hui hai
mujhe tum se ulajhnaa hai kisi din
bahut se masale suljhaa sakungaa
kyaa kahaa khushbuein luTaataa huun
main tiri haan mein haan milaataa huun
tumhaare saath hone se mujhe taskin milti hai
mire hamdam mire dilbar hamaare saath rahnaa tum
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kaafir-e-ishq huun main sab se mohabbat hai mujhe
ek but kyaa ki samaayaa hai kalisaa dil mein
har tarah ham dil-e-naa-fahm ko samjhaa leinge
daagh maujud hain phulon ko khizaan hone do
jaan ham kaar-e-mohabbat kaa sila chaahte the
dil-e-saada koi mazdur hai ujrat kaisi