Shayari
apni ammi ko mohabbat se jo dekhaa main ne
puuri jannat miri aankhon mein simaT aai hai
tumhaare saath hone se mujhe taskin milti hai
mire hamdam mire dilbar hamaare saath rahnaa tum
تمہارے ساتھ ہونے سے مجھے تسکین ملتی ہے
مرے ہمدم مرے دلبر ہمارے ساتھ رہنا تم
तुम्हारे साथ होने से मुझे तस्कीन मिलती है
मिरे हमदम मिरे दिलबर हमारे साथ रहना तुम

apni ammi ko mohabbat se jo dekhaa main ne
puuri jannat miri aankhon mein simaT aai hai
qayaadat phir se paane ko hai ye allaama kaa nuskha
sabaq paDh le adaalat ke sadaaqat ke shujaaat ke
kidhar nishaana lagaa rahe ho kahaan nigaahein Tiki hui hain
ye kaise pakDi hui hai tum ne kamaan tumhaari muDi hui hai
mujhe tum se ulajhnaa hai kisi din
bahut se masale suljhaa sakungaa
kyaa kahaa khushbuein luTaataa huun
main tiri haan mein haan milaataa huun
fazaaon mein mohabbat gholtaa huun
main hindi huun main urdu boltaa huun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
mujh se to koi taaj-mahal bhi na ban sakaa
be-naam dil ki qabr mein dafnaa diyaa tujhe
ye dil ki zard paDaa thaa kai zamaanon se
main teraa naam liyaa aur bahaar aa gai hai
nigah uThi to zamaane ke saamne tiraa ruup
palak jhuki to mire dil ke ru-ba-ru tiraa gham