Shayari
yaqin kar ki main tujh se bhi ziyaada chaahtaa us ko
jo mere jaisaa teraa aur koi qadr-daan hotaa
kisi se sarguzisht-e-gham bayaan kartaa huun jab apni
kahaani vo saraasar aap ki maalum hoti hai
کسی سے سرگزشت غم بیاں کرتا ہوں جب اپنی
کہانی وہ سراسر آپ کی معلوم ہوتی ہے
किसी से सरगुज़िश्त-ए-ग़म बयाँ करता हूँ जब अपनी
कहानी वो सरासर आप की मालूम होती है

yaqin kar ki main tujh se bhi ziyaada chaahtaa us ko
jo mere jaisaa teraa aur koi qadr-daan hotaa
tire jaur-o-jafaa kaa ham kabhi shikva nahin karte
mohabbat jis se karte hain use rusvaa nahin karte
thaa jo ik kaafir musalmaan ho gayaa
pal mein viraana gulistaan ho gayaa
naaz-o-andaaz ki qimat hai tire mere sabab
kis ki mahfil mein bhalaa aur ghazab Dhaaoge
tavajjoh aap farmaaein agar to
kuchh ham bhi arz karnaa chaahte hain
jo kabhi divaar pe laTkaai thi
ab tire kamre ki zinat bhi nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
aisi taraqqi par to ronaa bantaa hai
jis mein dahshat-gard corona bantaa hai