Shayari
ham ko gham-e-furqat mein do din hi bukhaar aaya
kyaa shakl nikal aai laa-haul valaa quvvat
ek bosa de ke vo bole maza aayaa nahin
ek bose mein rumuz-e-ishq khul jaaeinge kyaa
ایک بوسہ دے کے وہ بولے مزہ آیا نہیں
ایک بوسے میں رموز عشق کھل جائیں گے کیا
एक बोसा दे के वो बोले मज़ा आया नहीं
एक बोसे में रुमूज़-ए-इश्क़ खुल जाएँगे क्या

ham ko gham-e-furqat mein do din hi bukhaar aaya
kyaa shakl nikal aai laa-haul valaa quvvat
phir se vo yogaa ki varzish kar rahe hain baam par
phir se laTh apne mohalle mein vo chalvaaeinge kyaa
bahaane-baaz hain makkaar hain jhuTe hain shaatir hain
mile hain ab kahin jaa kar unhein ushshaaq Takkar ke
tiin din tak khauf ke maare chhupe the jis jagah
us jagah banne ko thaa ik ghusl-khaana yaad hai
hamaare shaikh ji phir se shifaa-khaane mein daakhil hain
bahut akhlaaq ke qaail hue hain ek sister ke
gae the baalTi bharne pe un se ishq kar baiThe
ghaDe apne kisi masjid se bhar laate to achchhaa thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq ki raah mein yuun had se guzar mat jaanaa
hon ghaDe kachche to dariyaa mein utar mat jaanaa
kisi ki mehrbaani se mohabbat mutmain kyaa ho
mohabbat to mohabbat se bhi aasuda nahin hoti
ye khuddaar honaa hi laayaa kharaabi
mohabbat mein insaan khuddaar kyuun ho
use kaho ki natija koi na niklegaa
use kaho ki mohabbat kaa imtihaan na le