Shayari
aap ko mere taaaruf ki zarurat kyaa hai
main vahi huun ki jise aap ne chaahaa thaa kabhi
chalo ham bhi vafaa se baaz aae
mohabbat koi majburi nahin hai
چلو ہم بھی وفا سے باز آئے
محبت کوئی مجبوری نہیں ہے
चलो हम भी वफ़ा से बाज़ आए
मोहब्बत कोई मजबूरी नहीं है

aap ko mere taaaruf ki zarurat kyaa hai
main vahi huun ki jise aap ne chaahaa thaa kabhi
ek main ne hi ugaae nahin khvaabon ke gulaab
tu bhi is jurm mein shaamil hai miraa saath na chhoD
safar mein achaanak sabhi ruk gae
ajab moD apni kahaani mein thaa
jab ham teraa naam na leinge
vo bhi ek zamaanaa hogaa
vo meraa jab na ho sakaa to phir yahi sazaa rahe
kisi ko pyaar jab karun vo chhup ke dekhtaa rahe
doston se mulaaqaat ki shaam hai
ye sazaa kaaT kar apne ghar jaaungaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
khudaa gavaah hai main shaghl-e-but-parasti mein
sivaae ishq kisi kaam se nahin vaaqif
na kyuun ki ashk-e-musalsal ho rahnumaa dil kaa
tariq-e-ishq mein jaari hai silsila dil kaa
sab pe raushan hai ki raah-e-ishq mein maanind-e-shama
paanv par se ham ne qurbaan rafta rafta sar kiyaa